aaj behke hue dil mein sailaab aaya hai
mujh se door mera khud ka saaya hai
sansein tham gayi aur samay ruk sa gaya hai..
beh rahi hain aakhein aur maan bhi bheeg sa gaya hai..
raaton ki neend jaa chuki hai aur chain kho sa gaya hai
baatein baaki hain aur hosh kho sa gaya hai
chal raha hu manzil ki ore har pal
par lagta hai ye raasta ab badh sa gaya hai
jisko chahte hain hum wo hame mil nahi paata
yaadon ke sahare yu jiya nahi jaata
mohabbat ho jaati hai ise sikhaya nahi jaata
ise karna to asaan hai par har kisi se nibhaya nahi jaata
phone kiya to usne phone nahi uthaya
awaaz sunani thi uski par sunn nahi paaya
ek waqt tha jab har roz baat karta tha usse
har raat ko jaag kar kabhi maine use tha sulaaya
chahta hu raat ke andhere mein use dekhta rahu
sunu uski saansein, uske dard ko sehta rahu
aakhon se padhu use aakhon se hi samajhta rahu
khamosh reh kar har pal use sunta rahu
khwahish hai ki har pal use hasata rahu
roothe jo wo to use manata rahu
samet lu use apni baahon mein sardi se bachata rahu
uske sang ek nayi duniya rachata rahu
wade kiya jo usse, unhe nibhata rahu
uski mushkil raahon ko uski asaan banata rahu
saaya bhi uska saath chod jaaye to kya
haath thame uska, saath nibhata rahu
lekin, fir kismat ne aaj ek naya mod dikhaya hai
mere chahat ko mujh se churaya hai
karna pada intazaar agle janam tak to kya hua
afsos itna hai ki ek baar fir kismat ne mujhe haraya hai
rok kar rakhta hu khud ko, par rok nahi paata
kabhi chahta hu bhulana use par bhula nahi paata
sochta hu ki kya wo meri dhadkan hai ya meri saanson ka hissa
par kya karu apni dhadkan aur saanson ko rok nahi paata
aaj fir likhne ka mann hua hai
par dil kuch bol nahi paata
mein kehta hu har roz uski kahaniya
par ab unhe koi sunn nahi paata
Nice one..very touching
ReplyDelete